Aesa kya likhoon ke tere dil ko taskeen pohanchey,
Kya yeh kaafi nahin ke meri duaayon mein tum ho…


Toote hue dilon ki…Duaa mere saath hai,
Duniya teri taraf hai…Khuda mere saath hai.

Awaaz ghunghrooON ki…Nahin hai to kya hua
Saagar ke tootne ki…Sadaa mere saath hai

Tanhai kisko kehte hain…Mujhko pata nahin
Kya jaane kis hasin ki…Duaa mere saath hai

Paimana saamne hai to…Kuch gum nahin Nizaam
Ab dard-e-dil ki koi…Dava mere saath hai

Duniya teri taraf hai…Khuda mere saath hai
Toote hue dilon ki…Duaa mere saath hai


Osy lagaya hy may ny khiyal rakna tum !

ke ye shjar meri naslon ko acha phal dy ga


Kachi umer me kal k dukhon se ajj uljhana theek nahin,
Pehla sawan bhegane walo shad raho abad raho.


Kon daita hai muhabbat ko pursatish ka muqam,
Tum ye insaf se pocho to dua do hum ko.


Kis qadar nadaam hoa hon me bura keh kar use,
Kia khabar thi jate jate wo dua de jae ga.


Ghalat ho app ka wada koi khuda na kare,
Magar hazoor ko adat hai bhool jane ki.


Umer itni to ata kar mere fan k khaliq,
Mera dushman mere marne ki khabar ko tarse.


Khoda kare k achanak wo samne aa kar,
Mere labhon ko nae kuch sawal dee jae.


Khodae e sheher muje zalzalon me zinda rakh,
Me bach gea to nai bastian basaon ga.



Ujaar di hai ajab zalzalon ne yeh basti,
Makeen talash karoon ya makaan talash karoon..


Ya malik aapne aadalat me , meri hamesha jamant rakhna,
Mai rahu ya na rhu mere chahane walo ko hamesh salamat rakhna


Jin Siddato Se Koshish Kar Raha Hu
Ab Main Tumhe Bhulane Ke


Kabhi Bahut Dil Se Dua Manga Karta Tha
Tumhe Apna Banane Ki


Jub Itni Khushyaan Mil Jayen Ke Samajh Na Aye Kia Mangun ….
Phir Apni Duaon Mein Mujhe Tum Yaad Karlena ………!


Dast-E-Taqdeer Se Har Shaks ne Hissa Paya Jaan
Mere Hissay Main Terey Sath Ki Hasrat Aayi ….!


Khushi mili to kai dard muj se rooth gae
Duaa karo k me phir se udaas ho jaon…!!



kash ye dunia haseen hoti
khud k chahne sy her dua kabool hoti
khny k liye tu sbi apny hn
pr kash koi aisa hota
jisay mere dard sy b takleef hoti



Manga hai tujhe rab se ke ab zid hai muje yeh kab se,
sab se agey, awal-o-akhir hai meri zaroorton mein sab se…


main apni har ik sans usi raat ko de doon
sar rakh k mere seene per so jao kisi din



” Dua Ki soorat Mein Uss Ki Khaatir ”
” Jo meray honton se lafz nikaly ”
” Jo mari Aankhon se ashk niklay ”
…” Unhi k badley Mein ae KHUDAYA ”


Jab bhi us ka naseeb likhna

” UROOJ likhna ”
” KAMAL likhna ”
” Kabhi na harf-e-ZAWAL likhna ”
” Khusian likhna ”
” or us ki umr-e-draaz likhna…………


Dor ho k bhi apke pass raha kerty hain

teri yadon k sahary jia kerty kain

tujh se koi shikayat na gila kerty hain

tu salamat rahy bas yehi dua kerty hain




Shikwa-e-ashq nahi Jurat-e-guftar nahin

mary hathon main jabar ki talwar nahin

Ibn-e-Adam hun insan se Mohabat ki hai

Aag ka chand ka Pathar ka paristar nahin

ae khuda mujh ko meri Ibadat k badly Mohabat de de

Main teri kisi b jannat ka kharidar nahin

jis ne insan se mohabat hi na ki ho

wo dar haqiqat khuda ka b talabgaar nahin




Khwab Sach Ho Tu Tabir Bhi Mil Jati Hai
Yad Bhi Aksar Ik Tasvir Mai Badal Jati Hai
Kuch Maango Agr Tu Maango Sachey Dil Se
Ek Dua Se Aksar Takdeer Badal Jati Hai



Ae Khuda Aaj Ye Faisla Karde
Use Mera Ya Mujhe Uska Karde

Bahut Dukh Sahe He Maine
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde

Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna
Judai Ke Safar Ko Kum Karde

Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse
Use Utna Kareeb Karde

Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam
To Khatam Kar Ye Zindagi Aur Mujhe FANAA Karde






Jo Kahin Na Mile Wo Khushi Chahiye
Dard Kaisa B Ho Bandagi Chahiye

Mujhko Duniya Ki Ab Koi Khuwahish Nhi
Aakhrat Ki Mujhe Zindagi Chahiye

Tere He Aage Haath Phelaon
Ab Aesi ALLAH Mujhe Bebasi Chahiye

Tu Ho Jaye Raazi Sanwar Jaun Main
Mere Malik Aagahi Chahiye

Main Jhukun Or Jhukun Bus Jhuka He Rahun
Ibbadat Me Bus Ye Aajizi Chahiye

Main Bhatak Jaun To Aasra Dey Mujhe
Aesi ALLAH Mujhe Rehbari Chahiye..






Har Subah Teri Muskurati Rahe
Har Sham Teri Gungunati Rahe
Meri Dua Hai Ki Tu Jis Se Bhi Mile
Har Milne Wale Ko Teri Yaad Aati Rahe





Dosti Ka Haq Hum Youn Ada Kartay Hain
Dost Ke Naam Per Jan Fida Kartay Hain
Tumhey Phool Ka Zakham Bhi Na Anay Pae
Allah Say Roz Yeh Dua Kartay Hain






Har Bar Apki Salamti Ki Dua Karege
Teri Arzu Me Apni Hasti Fanah Karege
Tum Chahe Daman Bachalo Humse Lekin
Hum Marte Dum Tak Apse Wafa Ka






Ugta Hua Suraj Dua De Aapko
Khilta Hua Phool Khushbu De Aapko
Hum To Kuch Dene Ke Kabil Nahi Hai
Dene Wala Hazaar Khushiyan De Aapko!







Narahe Koi Gila Is Qadar Wafa Denge
Apki Ek Khushi Ki Khati Anso Tak Baha Denge
Kabhi Na Bholenge Apki Dosti Ko Hum
Dor Reh Kar B Apko Dil Se Dua Denge


Rab Karey Tera Naseeb Chamakta Dikhai Dey
Aankhain Jo Band Karein To Madina Dikhai Dey
Sajda Jahan Karey Waha Qaba Dikhai Dey
Uthay Jo Ankhain To Gumbad-E-Khizra Dekhai Dey
Ameen







Qurb K Na Wafa K Hote Hain
Saray Jhagray Ana K Hote Hain

Baat Niyat Ki Sirf Hai Warna
Waqt Saray Dua K Hote Hain

Bhool Jate Hain, Mat Bura Kehna
Log Putlay Khata K Hote Hain

Wo Bazahir Jo Kuch Nahi Lagte
Un Se Rishtay Bala K Hote Hain

Wo Humara Hai Is Tarah Se Faiz
Jaisay Banday Khuda K Hote Hain






Jo Khushi Tumharay Kareeb Ho
Wo Sada Tumhain Naseeb Ho

Tujhe Wo Khulos Milay Ke Jo
Teri Zindagi Pe Muheet Ho

Jo Mayaar Tujhko Pasand Ho
Jo Tumhare Dil Ki Umang Ho

Teri Zindagi Jo Talab Kare
Teray Hamsafar Ka Wo Rang Ho

Jo Khayaal Dil Main Aseer Ho
Or Dua Main Bhi Taseer Ho

Teray Haath Uthtay Hi Khuda Karay
Teray Saamne Tabeer Ho

Tujhe Wo Jahan Milay Jidhar
Ghamon Ka Koi Guzar Na Ho

Jidhar Rooshni Ho Khuloos Ki
Or Nafratoon Ko Khabar Na Ho






Meri Dua Hai K Khush Raho Tum
Mile Na Koi Ghum Jahan Bhi Raho Tum

Samandar Ki Tarah Dil Hai Gehra Tera
Khushioun Sa Bhara Rahe Daman Tera

Tum Jo Kaho Woh Har Khawahish Poori Ho Tumhari
Khuda Se Bus Yahi Dua Hai Hamari

Tohfa Kya Doon Tumhain Duaoun K Siwa
K Khuda Rahe Tum Se Raazi Sadaa







Saal-e-Nou Ki Duaa

Hai Tmnaa K Saal-E- Nou Tujh Ko
Har Musarat Se Hum Kinaar Karey

Khil Uthein Phool Tere Aangan Mein
Tuu Agr Khuwahish-E-Bahaar Karey

Mustkurahat Laboun Pe Ho Raqsaa_N
Sara Aalm Tujh Hi Sey Piyar Karey

Tujh Se Har Ranj Door Hojaye
Har Khushi Tujh Pe Jaan Nisaar Karey

Tere Aanagn Mein Qaafley Utrein
Jhilmilatey Hoye Sitaroun Key

Ho Key Bey Ikhteyaar Uth Jayein
Teri Janib Qadam Bharoun Key

Har Nayi Subha Tere Daman Mein
Chahatoun Key Gulaab Bhr Jaye

Har Haseen Shaam Apni Raanayi
Tere Khuwaboun Key Naam Kr Jaye

Dekh K Tere Rukh Ki Shadaabi
Rang-E- Qous-E-Qizah Nikhar Jaye

Muskurati Sdaa Hayaat Rahey
Tere Qadmoun Mein Kayinaat Rahey

Gam Na Dil Mein Kabhi Ujagar Ho
Shaadmani Tera Muqadar Ho

Aaney Waley Dino Ki Tabani
Janey Waley Dino Sey Barh Kr Ho





Har Yado Mai Usi Ki Yad Rehti Hai
Meri Ankho Ko Usi Ki Talash Rehti Hai
Kuch Tum Be Dua Karo Yaro
Dosto Ki Dua Mai Farishto Ki Faryad Hoti Hai







Ek Ehsaas Bilkul Teri Ada Ka Tha
Bahir Nikal Kar Dekha To Jhonka Hawa Ka Tha
Zindagi Ki Har Mushkil Se Main Takra Gaya
Sahara Mujhe Faqt Teri Dua Ka Tha








Tere Siva

Nahin Aur Kuch Bhi Tere Siva?!!!
Mere Dosti
Meri Zindagi
Meri Khamoshi
Meri Be-Basi
Mera Alam Bhi
Mera Naam Bhi
K Meri Subah
K Mere Sham Bhi
Wo Sabhi Kuch Tujhe Atta Kare
Mere Jaan To Yaqeen To Kar
Mujhe Mangana Tuna Aa Saka
Main Ne Phir Bhi Mangi Yehi Dua
K Gawahi De Ga Mera Khuda
Maine Jub Bhi Us Se Talab Kiya
Nahi Manga Kuch Bhi

Tere Siva .. Tere Siva !!





Khuda Buri Nazar Se Bachaye Ap Ko
Chand Sitaron Se Sajaye Aap Ko
Ghum Kya Hota Hai Ye Aap Bhool Hi Jao
Khuda Zindagi Mai Itna Hasaye Ap Ko






Mujhe Maut De K Hayat De
Mere Be Hunar Marsat De

Meri Pyaas Sadyon Ki Pyas Hai
Mere Karbala Ko Faraat De

Mere Ratjagon K Hisaab Main
Koi Aik Neend Ki Raat De







Bhujty Hue Diye Ki Dua Kaam Kar Gae
Ik Shaab Ki Gode Kitny Sitarun Sy Bhar Gae
Maa Ko Talashe Rizq Ny Rasta Bhula Diya
Bachi Thithar K Raat K Saae Main Maar Gae
Khud Baar-E- Khastagi Sy Gire Chhat Makaan Ki
Tuhmaat Magar Bhataktti Hawaoon K Saar Gaye





Bhujty Hue Diye Ki Dua Kaam Kar Gae
Ik Shaab Ki Gode Kitny Sitarun Sy Bhar Gae
Maa Ko Talashe Rizq Ny Rasta Bhula Diya
Bachi Thithar K Raat K Saae Main Maar Gae
Khud Baar-E- Khastagi Sy Gire Chhat Makaan Ki
Tuhmaat Magar Bhataktti Hawaoon K Saar Gaye






Wo Maut Bhi Bari Suhani Hogi
Jo Aap Ki Piyar May Aani Hogi
Ye Dua Hai Khuda Say K Pehlay Ham Jaaein
Kyon Ke Welcome Ki Rasam Bhi To Nibhani Hog





Aye Dost Tu Itna Badkalam Na Ho
Ki Kabhi Karib Se Gujrae To Dua-Salam Na Ho
Dil Mai Haazaar Gila Shikva Ho Magar Yeh Nahi Mumkin
Tum Aao Mere Ghar Mein Aur Ahitram Na Ho
Haazaar Dusmani Ho Tumse,Magar Khuda Karen
Dil Mein Kabhi Ahsaas-E Intekam Na Ho





Dosti Ki Raho Mai Kabhi Akelapan Na Mile
Aai Dost Zindagi Mai Tumhe Kabhi Gum Na Mile
Dua Karte Hai Hum Khuda Se
Tuhme Jo Bhi Dost Mile Hum Se Kam Na Mile



Mera Lafz Lafz Dua Dua
Mere Aansuon Se Dhula Hua
Tujhay Zindagi Ke Wo Sehar Miley
Tujhay Muhabaton Ka Safar Miley
Tujhay Dard-O-Gam Na Kabhi Choo Sakay
Teri Ankh Kabhi Na Nam Ho Sakay
Tere Pyar Jis Pe Nisar Ho
Wo Hamesha Tere Pas Ho
Tum Pe Khushiyon Ki Barsat Ho
Aur Taweel Teri Hayat Ho
Ye Dua Hai Koi Gila Nahe
Tujhay Zindagi Main Wo Sakoon Milay
Jo Kisi Ko Kabhi Mila Nahe !!!!!!!




Dua Mile Bando Se Khushiyan Mile Jag Se
Sath Mile Apno Se Rehmat Mile Rab Se
Zindagi Me Ap Ko Be Panah Pyar Mile
Kush Rahe Ap Duniya Mein Ziyda Sub Se






Mere Dil Ne Jab Bhi Dua Mangi Hai
Tujhe Mangi Hai Teri Wafa Mangi Hai
Jis Mohabbat Ko Dekh K Dunia Ko Rashk Aye
Tere Pyar Karne Ki Wo Adda Mangi Hai







Har dua mein tera hi naam aaya,
tere jaane ke baad ye khayal aaya,
kab kahan maine apne liya kuch maanga khuda se
tabhi to teri khusi ke liye? apne pyar ko bhula aaya..







dua krty hein hm sar ko jhukay,

aay dost aap apni manzil ko payen,,

jab b aap ki rahoon mein andhera aay,,,

to roshni k liye khuda hum ko jalay!!!






Dua nahi to gila deta koi
meri wafaon ka sila deta koi

jab mukadar hi nahi tha apna
deta bhi to bahla kya deta koi

hasil-e-ishq faqat dard hai
aye kash pehle hi baat deta koi

taqdeer nahi thi agar aasmaan chuna
khaq me hi mila deta koi

bewafa bhi humein bewafa keh gaya
is se zyada kya daga deta koi

guman hi ho jata kisi apne ka
daman hi pakar kar hila deta koi

arse se atka hai hinchkiyoun pe dun
acha hota ke bhula deta koi







You To Duain Roz Kia Kertay hain
Bas Kisi terha Mil Jae Dua Roz kia ketray hain
Khayal to ata hai Ager na milay to kia hoga
Ess Liyee Tujhay Dil mai Basae Rakhtay hain

Tumhari yado Ko Hamesha Hum Sajae Rakhtay hain
Dil Key hal Ko Logo Say Chupae Rakhtay hain
Hum say Ager Koi Pochay Ga tumhara
Tu hum keh daingay Ankho Mai Sajaee Rakhtay hain

Eik Bat Sochi Hai samjhi Tum KO BatatTay Hain
Ager tum Naraz na Ho to tum ko bataTtay Hain
Khuda Na Karya Kay Kabhi Biecharna para
To Bas Jan Layna YE Muqaddar kEy FAislay hAin

Mager kuch Bhi HO Ye Hum KO yad Rakhna hain
Hal Par Har Ghari Eik Dosray ko Yad Rakhna hain
Yaad to Aiege Dukh to Hoga Tere Na Hone Ka
Mager Ye samjh Layna Ahsan Us Key Liye Jety hain..!!
31 Oct 2014

Post a Comment

Emoticon
:) :)) ;(( :-) =)) ;( ;-( :d :-d @-) :p :o :>) (o) [-( :-? (p) :-s (m) 8-) :-t :-b b-( :-# =p~ $-) (b) (f) x-) (k) (h) (c) cheer
Click to see the code!
To insert emoticon you must added at least one space before the code.

 
Top