Ak Anjana Dost !!
Milte Hai kai Anjaane Sehar Mein
Koi Dost Ko Koi Hamsafar ban Jata hai
KOi bhar jata hai Khusiyan Daaman Mein
Koi umar Bhar ka Gum De jaata hai .. !!
Par Tujhse Kyun Koi Shikwa Nahi Hai
Tu Kaun hai, Apna lage par Apna nahi Hai
Tune Hi tho Hasi Di Hai Mere labo Ko
Tu Hakkikat hai Eh dost, Koi Sapna nahi hai !!
Tere AAne se mehfil Bhi rangeen Ho Jaaye
Tere Jaane Se Har dil , Gumsum sa Ho Jata hai
Kaise kahun ,Tu Tho Jaan hai, Har Dil Ki
Tere Baaton se Dil sabka Machal Jata hai ..!!
Tu pagal hai, shayad thoda Jhoota bhi
Tu har pal hasaye, kabhi-2 Mujhe ruta Bhi
Jante hai sab hamari Dosti hai bemisaal
Nazar Bhi Lagi Hame, Kai baar saath Chuta bhi..!!
Par Hamesha saath ho tum Mere har pal mein
Uss Jaisa Aur Koi Nahi Hoga Iss Dil Mein
Tu hai tho Andera Bhi Roshan Ho Jaata hai
Kaash Takraun Tumse main Apni har Manzil mein..!!
Rakhna Usko Bhi Tu Khuda Hamesha Khush
Chahe rahu ya Na rahu Main Iss Duniya Mein
De Dena Mere Hisse Ke Khushi Bhi Usse
Jo Apna Sa hai Iss Berang Anjaan Duniya Mein !!
Tum Jaisa Humsafar Na Hoga !!
[center]
[b]Teri nazar mein,teri chahat mein,
ak ankahi pyaari Baat Nazar aati hai
Ke shayad Kuch tho hai Jo tujhme Apni,
Zindgai ki ak shuruaat nazar aati hai
Tu jo hota hai kareeb Mere Yaara
Jo saari duniya ko bula deti hun Main
Tujhme sama kar , bahoon Mein bharke
Apni Umeedo ko Hawa de jaati hun Main
Rokne Ki Koshish karti hun Kudko main
Fir Teri Ankhon mea Doob si Jaati Hun
kehne ko hota hai bahoot Kuch Dil mein
Teri Dadkhan sunne ko Kamosh Ho jati hun
lagta hai Bas Tu Hi Sab Kuch Hai Mera
TU nahi Zindgai Viraan Si hoti Meri’
Kaash ke Kuch Aisa Hota mere “Jaana”
Teri Hasi se Saji Hoti yea Duniya Meri
Par Khawab Tho Khawab hote hai na “JAANA”
Jo Neend Toot Jaane par Kho jaate hai
De kar ak Unsulji si Umeed Mann mein
Aankhon Ko Fir se Nam Kar Jaate hai
Iss Nam Ankhon Mein tu hi Khushi Hoga
jab Tera Ashiyaana Mera Ashiyaana Hoga
WaQt Jab Rukkar Kahega..Hum Dono Se
Tum Jaisa Hamsafar Duniyan mein Koi Na Hoga !!
Tumse Khafa hai Hum !!
Aaj Hum Tummse Khafa hai Bahoot
Ab tumko hum bahoot Satayege…
Karte Rehna baat Meri Yaado se
Hum Tumare kawaab mea Na aayege
Rootna hai tumko bhi tho Root jao
Par Hum Tumko Na Manayege
Jitna Tadap rahe hai Hum yahan
Utna hi Tumko hum Tadpaayege
Lekar Aana tum haath Mea Gulaab
Fir thoda Sochege ke hum batayege
Ki Maan jaaye ki aur sataye tumko
Ya fir thoda aur hum Ithraayenge
Manaoge pyaar se humko tho fir
Pyaar se tumare gale lag jayenge
Na Mana sake tho dekh lena tum
Hum Kisi aur se Chakkar chalayege
Haso Mat Tum, Main tumse Khafa hun
Manao Na, Hum tho yuhi Maan Jayenge
Chahte hai Hum tumko Bahoot yaara
Tumko Sata ke Hum Kaise Muskarayenge
haal-e-dil
Kabhi Haan Kabhi Na kab tak chalega yea silsila
Kabh tak Hum yuhin Bebasi apni jatate rahenge
Koi Puche haal -e-dil Mera kya hai aaj Sanam
Kabh tak Teri Yaadon mea Khud Ko Doobate rahenge
Tumari Ankhein
Tumari ankhon mea chupa hai ak raaz
Jo mujhe tumari aur keench lata hai
Band kar leta hai unn komal palko se
Aur Mujhe Zindgai ke rang dekhata hai
Le jata hai mujhe uss door asmaan mea
Jahan Mera dil Ankahaa sukoon pata hai
Ak jaadu hai teri inn Ankho mea Sanam
Jo har pal Masoom Khawaab dikhata hai
Sharma Jati hai Meri Aankhe Unse takra
Jo Mere Man ki Muraad puri kar jata hai
Eh Jaanemann, Suno tho Sanam !!
Aise hi acha sa mood ho raha tha aaj mera aur
khud se gungunate gunate yea ak geet ka ban gaya …
socha sabke saath share karu.. Hope u like it guys Usual Smile
Eh Jaanemann , Suno tho Sanam (2)
Eh Jaanemann……
Tere Aaane se eh Jaaneman
Meri saansein behak jaati hai
Tere kuch kehne bhar se hi
Madhoshi si chaa jaati hai
Eh Jaanemann , Suno tho Sanam (2)
Eh Jaanemann……
chupi Chupi si saugaat mann ki
Tere ishq me tadpaati hai
Chahat bhari teri ak nazar
Mujhko deewaana banaati hai
Eh Jaanemann , Suno tho Sanam (2)
Eh Jaanemann……
Halki Halki si teri woh Hasi
Mujhe tere rang mea rang jaati hai
tujko Bahoon mea bharne ko
Meri Saansein bhi mehak jaati hai
Eh Jaanemann , Suno tho Sanam (2)
Eh Jaanemann……

Post a Comment