I NEVER FEEL ALONE because, LONELINESS IS ALWAYS WITH ME…..

Hamne har dukh ko Mohbbat ki inayat samjha hai Dosto. Hum koi TUM na thay jo auron se shikayt kArtE….!!

A Person Who Laughs More And Makes Others Laugh Would Be Having A Thunder Storm Sadness Beneath His Heart.

Mohabat ki Haqeeqat Sey Ham khoob Waqif They,,, “FARAZ,,, Younhi Zra Sa Shoq Huwa Tha Dil Barbaad karney ka…

Aey Qabristan Teri Aagosh Mein Itna Sannata kyun Hai…..?!!!? Log To Apni Jaan De Kar Tujhe Abad Karte Hain….!

Ajeeb Andehra Hai”SAAQI” Teri “MEHFIL” Me…!!! Kisi Ne “DIL” Bhi Jalaya To “ROSHNI” Na Hui..!!!

Ab na badhaye gay dast-e-dosti kisi ki taraf , Yeh faisla kia hai main ney tujh se judai k baad.

Nahi mujh ko shikayat ab kisi se Bas apne Aap se Rootha hua hoon Bahar se khush hun lekin eik sach bataon? Main Ander se bohat “TOOTA” Hua Hoon…

Ab Tu Gham Sehnay Ki Adat Ho Gai Hai. Aik Aur Ghum Seh Loo Gha Tu Kya Ho Ga Ab Tu Bin Tere Jeenay Ki Adat Daal Loon Ga. Aik Teri Judaai Seh Loon Ga Tu Kya Ho Ga.

Jis Ko B Dekha Usey Rota Huwa Paya He…. . . . MUHABBAT To Mujy Kisi Faqeer Ki Bad’Duaa Lagti He.

Palkoon k band ko Torr ker Daaman pay aa Gira, Ikk Aansu Meray “ZABT” ki Toheen ker gaya.

Kitnay gharor main hain wo mujhy tanha chor k faraz unhen malom nhe mery aansu mujhy tanha honay nhe dety.

kon kehta hy k aadmi apni kismat khud likhta hy… agar yeh sach hy tu kismat mein dard kon likta hy…?

Taash k paton ki manind hai zindage meri FARAZ, Jis kisi ne bhi khela taqseem kar diya mujhey.

Wo apne faidey ki khatir phir aa mile thay hum se. Hum nadan samjhay k h?mari duaon main asar h?i.

Chaha na usne mujhe bas dekhta raha, MERI zindagi se wo is tarha khailta raha, Na utra kabi meri zindagi ki jheel mai, BAS kinaray pr betha pathar phenkta raha.

Us k bakhshey howy ik ghum ka krishma hey k ab…? Jo bhi gham ho mere mayaar se kam lagta hai. .

Aag lagi he mere ghar me bacha hi kya he… Meine kaha me bach gaya hoon us ne kaha phir jala hi kya he.

Wahaan se pani ki ik bund na nikal saki Faraz….. Tamaam umar jin aankhon ko hum jheel likhtay rahay…..

Maine Kal Neend Se Pocha Too Kyon Nahin Aati Mujh Gareeb K Pass Neend Ne Kaha Kuch Soch K Zara Main Tere Pass Rahoon Ya Tere Naseeb KE Pass.

Zindagi me Rah kaisi bi ho Gujar jayenge, Ek din hum b chupke se mar jayenge, Aaj rehte h dosto k dil me yad ban k, Kal aansu ban k ankho se beha jayenge……..

Meri mayt ko jab uthane ki baat hoge Har ankh se Ansu ki barsat hogi Aap muskra kr 1 phool rakh dena meri Hatheli pa, Jate Jate apki koi nishani to sath hogi.

Woh Kehta hai ke Agar Nasib Hoga Mera. To Hum unhen Zaroor MIL Paingay, Hum Puchte hen unse. Agar Hum Bad’Naseeb Hue To un se Kesay MIL Paingay,

Meri Khushi k lamhe Mukhtasir hain is kadar Faraz…… Guzar jate hain Mere Muskurane Se pehle……

Kbhi ye dekhna chaho k tm kitny”amir”ho to apni dolt ko mt ginna,apni aankhon se”chnd aanso”girana or dekhna k kitny “hath”in ko smatny k liye aagy brhty hain.

Hr Ek Sawal Ka Us Ko Jawab Kia Deta Me Apni Zaat Ko Us Ka Hisaab Kia Deta Jo Ek Lafz Ki Khushbu Na Rakh Saka Mehfooz Me Us K Haath Me Puri Kitaab Kia Deta.

Tum paas naheen ho to ajjab haal hai dil kaa, Yoon jese main kuch rakh ke kahin bhool gayi hoon..

Mein tanhaa tha magar itnaa nahin tha, Meri tanhai mukammal tere aaney se hui..

Ajab paheliyan hain hathon ki lakeeron mein, Safar hi safar likha hai hamsafar koi nahin..

Teri dastak ke muntazir muddat se, Deemak, darwaazey, tanhai aur mein..

Kal raat tanhaa chand ko dekha tha mene khawb mein, Mohsin, mujhe raas aaye gi shayed sada’aa awaargi…

Meri tanhaaiyon se aa ke Abid koi to puchey, Kabhi jab chand pura ho, samandar cheekhta kyun hai..

Sanaatton ko choom rahi hain awaazen shehnayi ki, Chupke chupke chaat rahi hai aag mujhe tanhaayi ki..

Phir wohi raat, wohi hum, wohi tanhaai hai, Phir har ik chott mohabbat ki ubhar aayi hai..

Meri tanhayi ko mera shoq mat samajhna, Bohat pyar se diya hai yeh tohfa kisi ne..

Yad-e-mazi azab hai ya rabb, Cheen ley mujhsey hafiza mera..

Wo be’kaifi ka aalam hai ke dil ye chahta hai, Kahin roposh ho jaun achanak khamoshi se..

Tumhein maloom bhi hai main tanha jee nahin sakta, Meri aadat badalne tak to mere saath ruk jao..

Shayed kisi muqaam par main kaam aa sakoon, Mujh ko bhi sath lijiye tanhaa na jayiye..

Jinn Ke Paas Hoti Hain Umer Bhar Ki Yadain, Woh Log Tanhai Mein Bhi Tanha Nahi Hotay..

Sau baar chaman mehka, sau baar bahaar ayi, Duniyaa ki wohi ronaq, dil ki wohi tanhayi..

Bataaon tumhe kahaani udaas logon ki, Kabhi ghaur karna yeh hanstey bohat hain..

Khud’gharzz hota to hajoom hota sath, Mukhliss hoon to isi liye tanhaa hoon..

Sacch muchh koi awaz hai sach much koi aahat, Ya dil ke dharakne ki sadaa chairr rahi hai..

Har aayina meri aankhon se poochta hai yeh, Woh shakhs kya huey, abaad jin se yeh ghar tha??

Log tanhaai se dar ke janglon main aa gaye, Sheher ki galiyon mein ab ke aesa sanaatta hua..

Gumsum hua awaaz ka darya tha jo ik shakhss, Pathar bhi nahin ab woh sitaara tha jo ik shakhss..

Kya rabta kisi ki judaai se mera, Bharta hi nahin dil kabhi tanhai se mera..

Kya jaaniye ke itni udaasi thi raat kyon, Mehtaab* apni qabar ka pathar laga mujhe..

Qareeb aa shab-e-tanhaai, tujh se pyar karain, Tamaam din ki thakkan ka ilaaj tu hi sahi..

Qayamat hai yeh majboor dil ka ehsaas-e-tanhai, Akele ab to hum aksar bhari mehfil mein rehte hain..

Na janey us ke dil main kitni mehfilen abad hon, Jo akela betha ho usey tanhaa nahi kehte..

Ruswaayi ka dar hai ke andheron se mohabbat, Main chaand ko aangan main utarney nahin deta..

Doob kar suraj ne mujhe aur tanha kar diya, Mera saaya bhi chupaa hai mere doston ki tarah..

Andheri Raat Ka Safar Bhi Khoob Tha Lekin, Tum Aaye To Chiraghon Mein Roshni Kar Li..

Khud hi chorr gaye hain tou chalo acha hua, Itne ehbaab kahan hum se sambhaley jatey..

Bikhri Kitaaben, bheegy auraaq aur Tanhai pasand sa Dil, is Mohabbat ne to meri Umar pe bhi taras nahi khaya …!

Tanhayi Ke Aatishdaan Mein Mein Lakri Ki Tarah Jalta Tha Tere Saath Tere Hamraahi Mere Saath Mera Rasta Tha..

Teri Dosti me ek nasha hai Tabhi to ye sari Duniya hamse khafa hai Naa kar itni dosti hamse ki hamara hi dil hamse puche ki mere dhadkan kaha hai..............

Woh humsey apni marzi se baat krtey hai... aur hum bhi kitney pagal hai ke unki marji ka intezar kartey hai......

Main ek khilona hu.. aur wo uss bachhe ki tarah hai jisse mujhse pyaar to hai ....lekin sirf khelne ki hadd tak...

Girte rahe hum sajdo me hasrat-e- ishQ ki khaatir agar ibadat-e-khuda me gire hote to zindgi jannat ban jati.

Uski aankho me nazar aata he sara jahan mujhko,,,,!! Afsos ki un aakhno me kbhi khud ko nhi dekha,,,,!!

jab chaandni bad kr raaatoo pe chaaati h tare yaaad ase me dill ko tad paaati h tare yaaaaad aaati h tare yaaad aati h tare yaad aati h

Hmmmmm itni si jaan or ye zalim isaq uffff Aye khuda khudkhushi halal kar de.

Jee Toh Chahta Hai Tujhe Cheer Ke Rakh Doon Ae Dil.. Na Woh Rahe Tujhme.. Na Tu Rahe Mujh Mein ?

Dard Mein Bhi Ye Labb Muskura Jaate Hai.. Beetein Lamhe Humein Jab Bhi.. Yaad Aate Hai..

Jab Yaad Tumhari Aati Hai,Dil Khun Ke Aansu Rota Hai,Yeh Dard Denewala Kya Jane,Dil Ka Dard Kaisa Hota Hai.

Tere Pyaar Ki Hifazat Kuch Isssss Tarha SeKi Humne... Jab Kbhi Kisi Ne Pyar Se Dekha To Nazre Jhuka Li Humne.....

Khuda kisi ko kisi per fida na kere Aur fir fida kere to unhe juda na kere Ye sach hai ki koi marta nahi judai se Lakin ji bhi to nahi sakta wo tanhai me.

Kitaabain Bhi Bilkul Meri Tarha Hain ... Alfaazon Sey Bharpoor Magar Khamosh ...!!

Kitne Tohfe Deti Hai Ye Mohabbat Bhi..... Ruswai Alag, Judai Alag, Tanhai Alag ....

Ek Tumhi The Jiske Dum Pe Chalti Thi Sansei Meri. Laut Aao Ke Zindagi Se Ab....... Wafa Nibhayi Nahi Jati..


















Post a Comment

 
Top