Na jaane koun si baat aakhri hogi
Na jaane koun si raat aakhri hogi
Karni hai to karle jee bhar ke baatien
Na jaane hamari kaun si saans aakhri hogi…
`
Zindagi se to ladd chuke hum
Par abb naa hai khwaish maut se ladne ki
Safar yeh thaa bahut mushkil zindagi ka
Par maut mein sona chahate hain hum bekhabar…
`
Waqt kehta hai phir na aaunga,
Aap ki aankhon ko na ab rulaunga,
Jeena hai to iss pal ko jee lo!
Shayad main kal tak na ruk paunga…
`
Suraj ke saath doobne wale to hum bhi hain
Lekin kabhi bhi dard ko bujhne nahin diya
Jo shaam aayi uss ko kiya aur bhi haseen
Dekhi jahan bhi raat ujala wahin kiya…
`
Tum na jao kahin
Bas ik nazar dekh lene ki ijazat de do
Kuchh waqt guzar loon tere qadmon mein
Ik zindagi jeene ki ijaazat de do…
`
Aankhon se ashqon ko bah jaane do
Dil se har gham ko mit jaane do
Yeh safar sifar se shuru hua thha
Ise sifar pe hi khatam ho jaane do…

Post a Comment

 
Top