Aye barish zara tham ke baras,
Jab mera yaar aa jaye to jam ke baras,
Pehle na baras ki woh aa na sake,
Phir itna baras ki woh ja na sake…


Sirf Isharoon Mein Hoti Mohabbat Agar,
In Alfazoon Ko Khoobsurati Kaun Deta?
Bas Pathar Bann Ke Reh Jaata “Taj Mahal”,
Agar Ishq Isse Apni Pehchan Na Deta…


Taras gaye apke deedar ko,
phir bhi dil aap hi ko yaad karta hai,
humse khusnaseeb to apke ghar ka aaina hai,
jo har roz apke husn ka deedar karta hai…


Pal pal uska saath nibhate hum,
Ek ishare par duniya chor jaate hum,
Samnder ke beech mein pahunch kar fareb kiya usne,
Wo kehta to kinare par hi doob jaate hum…


Palko ko humne jab bhi jhukaya hai,
Bas ek hi khayal aaya hai,
Jis khuda ne tumhe banaya hai,
Tumhe dharti pe bhejke bhala wo kaise jee paaya hai…


Pyaar wo ehsaas hai jo mitata nahi,
Pyaar wo parwat hai jo jhukta nahi,
Pyaar ki keemat kya hai humse pucho,
Pyaar wo anmol hira hai jo bikta nahi…


Pyaar Me Milna Jaruri Nahi,
Pyaar Mein Izhaar Bhi Zaruri Nahi,
Zaruri Sirf Ehsaas Hai Jo Zindagi SaNwarde,
Unhe PaAna Ya Na Pana Zaruri Nhi…


Ishq Aisa Karo Ki Dhadkan Me Bas Jaaye,
Saans Bhi Lo To Khushbu Usi Ki Aaye,
Pyaar Ka Nasha Aankhon Pe Chaa Jaaye,
Baat Kuch Bhi Na Ho Par Naam Usi Ka Aaye…


Yaadon Ki Keemat Wo Kya Jaane,
Jo Khud Yaadon Me Mita Diya Karte Hain,
Yaadon Ka Matlab to Unse Pucho,
Jo Yaadon Ke Sahare Jiye Karte Hain…


Aaj kitne dino baad hui yeh barsaat hai
Yaad dilati yeh aapki har baat hai
Mujhe maloom hai aapki aankhon mein hai neend
Aap chain se so jao kitni haseen raat hai…


Aap jo so gaye to khwab hamara aayega
Ek pyari si muskaan aapke chehre per layega
Khidki darwaje dil ke khol ker sona
Warna aap hi batao hamara khwab kha se aayega…


Na Jane Kab Wo Haseen Raat Hogi,
Jab Unki Nigahe Humari Nigaho Ke Saath Hogi,
Baithe Hai Hum Uss Raat Ke Intezaar Me,
Jab Unke Hontho Ki Surkhiya Humare Hontho Ke Saath Hogi.


Tere Pyar Me Do Pal Ki Zindgi Bahut Hai,
Ek Pal Ki Hansi Aur Ek Pal Ki Kushi Bahut Hai,
Ye Dunia Mujhe Jane Ya Na Jane,
Teri Ankhe Muje Pehchane Yahi Bahut Hai.


Hasrat hai sirf tumhe pane ki,
aur koi khawahish nahi is Dewane ki,
shikwa mujhe tumse nahi khuda se hai,
kya zarurat thi tumhe itna khuubsurat banane ki..?


Dil dharakta hai tujhe dekhun to,
Saans bhi meri rukne lagti hai…
Pyar itna hai mere dilmey sanam,
Rooh bhi meri khinch ne lagti hai…!
Chain milta hai jab mei dekhun tujhe,
Warna ya saans rukne lagti hai…!!!


Na Jaane Wo Kaun Tera Habeeb Hoga
Tere Hatho Mein Jiska Naseeb Hoga
Koi Tumhe Chahe Ye Koi Badi Baat Nahi
Jisko Tum Chaho Wo Khush Naseeb Hoga…


Apne Hothon Par Saja Kar Tujhe Main
Tere Hi Geet Gana Chahta Hoon
Jal Kar Bujh Jana Humari Kismat Sahi
Bas Ek Baar Roshan Hona Chahta Hoon…


Wo Mere Liye Kuch Khaas Hai Yaaro,
Jinke Laut Aane Ki Na Koi Aas Hai Yaaro,
Wo Najro Se Door Hai To Kya Hua,
Banke Dil Ki Dhadkan Mere Paas To Hai Yaaro….


Tujhe Dil Se Juda Kabhi Hone Nahi Denge,
Tujhe Nind B Aaye To Sone Nahi Denge,
Tera Pyar Humein Itna Pyara Hai K
Hum Mar B Gaye To Tujhe Rone Nahi Denge…


Yaado Me Humari Aap Bhi Khoye Honge,
Khuli Aankho Se Kabhi Aap Bhi Soye Honge,
Mana Hasna Hai Ada Gam Chhupane Ki
Par Haste Haste Kabhi Aap Bhi Roye Honge…


Tum Bin Guzar To Jayegi Zindigi
Per Main Jee Na Paaoonga Tum Bin
Hazaroon Sitaron Ki Bheer Main Bhi Dekho
Yeh Chaand Kitna Tanha Hai Tum Bin…


In aansuon ki kuch to kadar karr meri jaan
Isme chupa hai mohabbat tere liye
Youn to mera zanazaa uthega teri jane ke baad
Jisme ek tajmahal banayenge tere liye….


Bahane bahane se aapki baat karte hai
har pal aapko mehsus karte hai
itni baar to aap saans bhi nahi lete honge
jitni baar hum aaapko yaad karte hai!


Gham nahi wahan jahan ho fasana aapka
Khushi bhi dhundhti hai har pal fasana aapka,
Aap udaas na hona kabhi zindagi mai,
Bohot achha lagta hai hame muskurana aapka…!


Ek Gujarish Hai Tujhse Zara Tham Ke Barasna,
Aa Jaaye Jab Mera Mehboob To Phir Jamm Ke Barasna,
Yun Pehle na Barasna Ki Wo Aa na Sakey,
Aa Jaaye Mere Pass To Itna Barasna Ki Wo Ja Na Sakey…


Iltija Hai Bas Tujhe Paane Ki,
Aur Koi Hasrat Nahi Hai Tere Deewane Ki,
Shikva Mujhe Tujhse Nahi Khuda Se Hai,
Kya Zururat Thi Tujhe Itna Khubsoorat Banane Ki…


Soch raha tha k jawab kya bheju,
aap jaise dost ko toofa kya bheju,
guldasta bhejna to bewakufi hogi,
kyu k jo khud gulab hai use gulab kya bheju…?


Jab Jab Aata Hai Ye Barsaat Ka Mausam,
Teri Yaad Hoti Hai Sath Humdum,
Is Mausam Mein Nahi Karienge Yaad Tujhe Ye Socha Hai Humne…
Par Phir Socha Ki Baarish Ko Kaise Rok Paayeinge Hum….


Aapki Ada Se Hum Madhosh Ho Gaye
Aap Ne Palat Kar Dekha Tho Hum Behosh Ho Gaye
Yehi Ek Baat Kehni Thi Aapse
Na Jaane Kyun Aapko Dekthe Hi Hum Khamosh Ho Gaye…


Jagaaya unhone aisa ke aaj tak so na sakke
Rulaaya unhone aisa ke sabke saamne ro bhi na sakke
Jaane kya baat thi unn mein….
Jabse maana unhe apna tabse kisi ke ho na sake…


Jiski talaash hai usko pata hi nahi,
hamari chahat ko usne samjha hi nahi,
hum poochte rahe ki kya tumhe humse pyar hai.
woh kehte rahe ki unhe pata nahi..


Kaash woh samajthe is dil ki tadap ko
Tho yun humein ruswa na kiya hotha
Unki ye berukhi zulm bhi manzoor thi humein
Bas ek baar humein samaj-liya hota…


Soch lene se pahley mein kar arz deti huin
shayari me yaaron dil ke raaz khol deti huin
kuch apni kuch unki kahaani bahut hain
mila mila kar kissey mein duniya ko bol deti hun…


Jadu Hai Teri Har Ek Baat Me
Yaad Bahut Aate Ho Din Aur Raat Me
Kal Jab Dekha Tha Mene Sapna Raat Me
Tab Bhi Apka Hi Hath Tha Mere Hath Me..

Post a Comment

 
Top