Aajadi ki kabhi shaam nahi hone denge,
Sahidon ki kurbani badnaam nahi hone denge,
Bachi ho jo ek boond bhi garam lahu ki…
Tab tak bharat mata ka aanchal nilaam nahi hane denge.
````
Shaan to kardi hamne watan ke naam par,
Kurbaaniyo se pai hai hamne aazaadi,
Hamara watan to laakho main ek hai,
Aan bhi kardi hamne watan ke naam par
````
Ye baat hawao ko bataye rakhna ,
Roshni hogi chirago ko jalaye rakhna ,
Lahu dekAr jiski hifazat humne ki…
aise TIRANGE ko sada Dil me basaye rakhna
````
Adhikar milte nahi liye jate hain
Aajad hain magar gulami kiye jate hain
Vandan karo un senaniyon ko
Jo maut ko aanchal mein jiye jate hain…
````
Jindagi hai kalpanao ki jang
kuch to karo iske liye dabaang
jiyo shaan se bharo umaag..
lahrao sabke dil me desh ke liye taranggg…..
````
Ae mere hamnasheen chal aur kahin
Is chaman ab apna gujara nahin
Baat hoti gulon tak to seh lete hum
ab to kanto pe bhi haq hamara nahin..
````
Jo Lada Tha Sipaahiyon Ki Tarah
Aisa Bharat Mein Koi Baadshah Na Hua
Rooh To Ho gayi Thi Tann Se Judaa
Haath Talwaar Se Judaa Na Hua..
````
Kuchh haath se uske fisal gaya
wah palak jhapak kar nikal gaya
Fir laash bichh gayi lakhon ki
sab palak jhapak kar badal gaya
Jab rishte raakh mein badal gaye
insaanon ka dil dahal gaya
Main poochh poochh kar haar gaya
kyon mera bhaarat badal gaya..
````
Nain gam karan tan main mar javan,
mere yaar di yari kuj hor ho gayi,
jeda nazran de nal sohna takda si,
akh ohi te nazar kuj hor ho gayi.
````
Aandhiyon me bhi jaise kuch chirag jala kartey hai,
Utni hi himmat e hausla hum bhi rakha kartey hai,
Manzilon abhi aur dur hai hamari Manzil,
Chaand sitarey to raahon me mila kartey hai.
````
Tairana hai to Sagar ki Laharon me tairo, kinaron me kya rakkha hai !
Mohabbat karana hai to Vatan se karo,Ladakiyon me kya rakkha hai !!
````
Jo ab tak naa khola,
woh khun nahi pani hai
Jo desh ke kaam naa aaye
woh bekaar jawaani hai!!
````
Kyon marte ho bewafa sanam k liye.???
Marna hai to maro hamare watan k liye,
Aise to do gajj zameen bhi nahi milegi dafan ke liye
Desh k liye maroge to hasinaye bhi
Dupatta utar degi kafan k liye…
````
Kuchh haath se uske fisal gaya
wah palak jhapak kar nikal gaya
Fir laash bichh gayi lakhon ki
sab palak jhapak kar badal gaya
Jab rishte raakh mein badal gaye
insaanon ka dil dahal gaya
Main poochh poochh kar haar gaya
kyon mera bhaarat badal gaya.?
````
Tairna hai to smandar mein tairo
nadi naalo mein kya rakha hai?
Pyar karna hai to watan se karo
In bewafa ladkiyo mein kya rakha hai.
````
Chaah Rakhne Wale, Manzilon Ko Taakte Nahin
Badh Kar Thaam Liya Karte hain…
Jinke Hathon Me Ho Waqt Ki Kalam,
Apni Kismat Wo Khud Likha Karte Hain...
Post a Comment