Aaj Phir "Eid" Ka Chaand Nazar Aaya,
Ab Na Woh Tu Hai Aur Na Woh Main Hon...!!!
Aaj Ke Din Saaf Ho Jata Hai Dil Aghyaar Ka,
Aao Mil Lo "Eid" Yeh Moqaa Nahi Takraar Ka...!!!
Asmaan Par Chaand Chamka "Eid" Ka,
Khush Hai Har Fard Is Ki "Deed" Ka...!!!
Aa Gai Bagh-e-Jahan Me Naik Sa'at "Eid" Ki,
Ik Tamanna Reh Gai Baqi Tumhari "Deed" Ki...!!!
Aankhain Hain Aur Lutf Hai Abb Us Ki "Deed" Ka,
Barson Jo Aaftaab Rahaa Chaand "Eid" Ka...!!!
Aesi Hazaar "Eidain" Mubarak Hon Aap Ko,
Soo Saal Tak Isi Tarah Dekhen "Bahar-e-Eid"...!!!
Aey Dost Tujh Ko Mubarak Hazar "Eid",
Tujh Bin Manaye Kese Ghareeb-ul-Dayar "Eid"...!!!
Aaj Hai "Eid-E-Musarrat" Aur Mai Ranjoor Hon,
Mehfil-e-Aesh-o-Tarb Se Kis Qadar Mai Door Hon...!!!
Afaaq Ki Janib Uthey Abruo-e-Hilali,
Aur Chaand Ne Chupke Se Kaha "Eid Mubarak"...!!!
Ek Lamhey Ko Main Ne Tujhey Dekha Thaa,
Umrr Bhar Meri Nazar Me Naa Jachaa "Eid Ka Chand"...!!!
Post a Comment