Wo jo samjhe the tamasha hoga,
maine chup reh ke baazi palat di.
Tu kaha hain, mere paas aa,
main kaha hoon, mujhe pataa chale.
Chaaro taraf lakadhaare hain,
fir bhi ped kahan haare hain.
Are o jalaane waale.. wo tera hi tha nasheman,
jise tune phoonk daala mera aashiyaan samajh kar.
Kal raat zindagi se mulaqaat ho gayi,
lab thartharaa rahe the magar baat ho gayi.
Tujhe kitna kaha tha ki mujhe apna na banaa,
ab mujhe chhod ke duniya me tamasha na banaa.
Ab dekhiye to kis ki jaan jaati hai,
maine uski.. usne meri kasam khaayi hai.
Gulaab, khwaab, dawaa, zaher, jaam kya kya hai,
main aa gaya hoon, bataa intezaam kya kya hai.
Mere mehboob ne waada kiya hai paan’chve din ka,
kisi se sun liya hoga ke, ye duniya chaar din ki hai.
Ek main tha, jo lafz dhoondh dhoondh kar thak gaya,
koi gair kharide huye phool de kar izhaar kar gaya.
Post a Comment