Kehte Hain Alvida Hum Ab Is Jahaan Ko,
Jaakr Khuda Ke Ghar Se Phir Aaya Na Jaayega.
Ahle-e-vatan Agarche Humein Bhool Jaayenge,
Ahal-e-vatan Ko Humse Bhulaya Na Jaayega.
Zulmo-sitam Se Tang Naa Aayenge Hum Kabhi,
Humse Sare-niyaaz Jhukaya Na Jaayega.
Isse Ziyada Aur Sitam Kya Karenge Vo,
Isse Ziyada Unse Sataya Na Jaayega.
Yeh Sach Hai, Maut Humko Mita Degi Dahar Se,
Lekin Hamara Naam Mitaya Na Jaayega.
Hum Zindagi Se Rooth Ke Baithe Hain Jail Mein,
Ab Zindagi Se Humko Manaya Na Jayega.
Humne Lagayi Aag Hai Jo Inqalaab Ki,
Is Aag Ko Kisi Se Bujhaya Na Jaayega.
Yaron! Hai Ab Bhi Waqt Humein Dekh-bhaal Lo,
Phir Kuch Pata Hamara Lagaya Na Jaayega.
Ai Maut! Jald Aa Ki Tera Intezaar Hai,
Ab Humse Baare-jeest Uthaya Na Jaayega.
Aazaad Hum Kara Na Sake Apne Mulq Ko,
‘khanjar’ Yeh Muh Khuda Ko Dikhaya Na Jaayega.
Post a Comment